Kya aapne kabhi socha hai ki jo baten ham apne aap se kahaate hain, woh hamari zindagi par kya asar daalti hain?
Subah uthkar aaine ke samne khade hokar jo ham sochte hain, jo ham budbudaate hain kya woh sirf shabd hain? Ya woh beej hain jo dheere-dheere hamari zindagi ki jameen mein ugte rehte hain, bina hamein bataye?
Yeh kitaab ek kahani hai. Ek aisi kahani jo pehle-pehle aapke se sawaal karega. Aap apne aap se kya kehte ho? Jab koi nahi dekh raha ho, tab aap apni aankhon mein jhankar kya dekhte ho?
- Samjhiye ki aap apne aap se jo bolte hain, woh asal mein aapke andar kya build kar rahe hain
- Khud se ek bhetar baat kaarne ka tareeka jo aapke andar se aatmavishwas jagaye
- Kaise shabd ke zariye zindagi badal sakti hai par sirf jab woh sach ho
- Kahaniyon ki shakti jo updesh nahi kar patin, par bheetar utrti hain
“Yeh kitaab koi updesh nahi deti. Koi phula-phuli nahi batti. Koi dus kadam wali yukti nahi hai bas ek kahani hai.”
Aur kahaniyan jo karti hain jo updesh nahi kar patin woh bheetar chup-chap, bina ahaat ke utrati hain. Shayad yeh kahani padh kar kal subah aap aaine ke samne kuch alag kahen. Aur shayad wahi aapka badlaav ho.
Shayad.


Reviews
There are no reviews yet.